Kedarnath ke kapat kab khulenge or Chardham Yatra 2025 ki Khaas Baatein:
Thank you for reading this post, don't forget to subscribe!Gangotri aur Yamunotri Dham ke kapat 30 April ko khulenge.
Badrinath Dham ke kapat 4 May ko khulenge.
Kedarnath ke kapat 2 May ko khulenge.
Chardham Yatra ki shuruat 30 April ko Gangotri aur Yamunotri Dham ke kapat khulne ke saath hogi.
Kedarnath Mandir ke Udgatan Samaroh ki Khaasiyat:
Kedarnath Dham, jo ki Uttarakhand mein sthit hai, ek pramukh Hindu teerth sthal hai. Yah Lord Shiva ka ek prasiddh mandir hai. Is samaroh mein desh aur duniya bhar se teerthyaatri aate hain.
Udgatan se ek din pehle, Gaurikund se Kedarnath Mandir tak Kedarnath Doli ko bhavya julus ke roop mein le jaya jata hai.
Pujari kai prachin Vedic anushthan karte hain.
Bhagwan Kedarnath ki murti ka unavaran kiya jata hai.
Agar hum 2025 ki baat karein, yeh ek sawaal sabhi bhagtan ke man me hota hai ki “kedarnath ke kapat kab khulenge” toh Kedarnath ke kapat khulne ka anuman Akshay Tritiya ke din hoga, jo is saal 2 May ke aas-paas pad raha hai. Lekin, yeh sirf ek anuman hai, aur iske liye mandir ke adhikarik ghoshna ka intezaar karna padta hai. iske khulne ka samay kuch factors par nirbhar karta hai, jaise mausam, yatra ka prabandh, aur pramukh dharmik tareekhon ka palan. Kedarnath ke kapat ke khulne ki tithi har saal alag hoti hai, aur is tithi ko mandir ke pujaris aur adhyatmik guru tay karte hain. Is tithi ko, “Akshay Tritiya” ke din ke aas-paas rakha jata hai, jo ki Hindu calendar ke anusar chaitra maas ke shukla paksha ka teesra din hota hai.
Kedarnath ke kapat khulne ke baad, mandir ke darwazon ko band karne ka samay “Bhai Dooj” ke din hota hai, jo ki Diwali ke baad aata hai. Yeh tithi bhi har saal thodi alag hoti hai, lekin aam taur par yeh 4 se 6 mahine ke beech hoti hai, jab Kedarnath mandir ke kapat band ho jate hain. Fir bhagton ko agle saal kapat khulne ka intzaar karna padta hai.